jalti hawaen kah gain azm-e-sabaat chhoD de
tera badan pighal gaya dast-e-hayat chhoD de
aag se khel khel kar kitne jala liye hain hath
tujh se kaha tha barha dekh ye baat chhoD de
main tere sath hun magar ye wo maqam hai ki ab
jo tere ji mein aae kar ja meri baat chhoD de
teri nazar sarab par mujh ko aziz gard-e-rah
tu mera ham-safar nahin to mera hath chhoD de
tishna labon ko chum kar koi to ho jo ye kahe
lashkar-e-maslihat-shanas haT ja furaat chhoD de
marka-e-bala ki shab kis ne kaha ba-sad-KHulus
wo bhi mujhe aziz hai jo mera sath chhoD de
Ghazal
Jalti hawaen kah gain azm-e-sabaat chhoD de
Sajjad Babar