jalti bujhti hui shamon ka dhuan rahta hai
kuchh ajab dhund ke aalam mein makan rahta hai
KHushk dariya hai na dariya pe hai pahra lekin
har taraf pyas ka KHun-rang saman rahta hai
is bhare shahr mein mushkil hai tajassus us ka
kis ko fursat jo kahe kaun kahan rahta hai
bhulna sahl nahin waqt ki sangini ka
zaKHm bharta hai magar us ka nishan rahta hai
meri aaankhon mein hain sad-rang manazir lekin
kuchh hai madum jo ehsas-e-ziyan rahta hai
nind aati hai kahan ujDe makan mein 'shahid'
koi aaseb ka har raat guman rahta hai
Ghazal
Jalti bujhti hui shamon ka dhuan rahta hai
Shahid Kaleem