jalte rahna kaam hai dil ka bujh jaane se hasil kya
apni aag ke indhan hain hum indhan ka mustaqbil kya
bolo nuqush-e-pa kuchh bolo tum to shayad sunte ho
bhag rahi hai rahguzar ke kan mein kah kar manzil kya
Dubne walo! dekh rahe ho tum to kashti ke taKHte
dekho dekho ghaur se dekho dauD raha hai sahil kya
an-paDh aandhi ghus paDti hai toD ke phaTak mahlon ke
andar aana mana hai likh kar laTkane se hasil kya
qatl-e-waqar-e-ishq ka mujrim jahl-e-hawas-karan hi nahin
nange is hammam mein sab hain aalim kya aur jahil kya
parwane ab apni apni aag mein jalte rahte hain
shoalon ke baTware se tha maqsad-e-sham-e-mahfil kya
TuTi dhanak ke TukDe le kar baadal rote phirte hain
khincha-tani mein rangon ki suraj bhi hai shamil kya
Ghazal
Jalte rahna kaam hai dil ka bujh jaane se hasil kya
Parvez Shahidi