jalte hue kuchh soch ke ek pal ko ruka tha
aise bhi wo yaadon ko meri chhoD raha tha
aankhon mein thakan gard-e-mah-o-sal jabin par
ek shaKHs kahin dur dhundlakon mein mila tha
ab kyun hai udasi ka saman hadd-e-nazar tak
kal raat KHayalon mein koi jag raha tha
kyun maslahatan log use bhul gae hain
insan ki azmat ko salibon mein paDha tha
tanhai ke darwaze se yaadon ka samundar
lagta hai ki jazbaat mein sar mar raha tha
rah rah ke wo chehra mujhe yaad aata hai 'saqib'
dekha nahin ji bhar ke use kaun tha kya tha

Ghazal
Jalte hue kuchh soch ke ek pal ko ruka tha
Meer Naqi Ali Khan Saqib