اردو हिंदी
Jalte hue jangal se guzarna tha hamein bhi | Shaahi Shayari
jalte hue jangal se guzarna tha hamein bhi

Ghazal

Jalte hue jangal se guzarna tha hamein bhi

Ambar Bahraichi

;

jalte hue jangal se guzarna tha hamein bhi
phir barf ke sahra mein Thaharna tha hamein bhi

mear-nawazi mein kahan us ko sukun tha
us shoKH ki nazron se utarna tha hamein bhi

jaan baKHsh tha pal bhar ke liye lams kisi ka
phir karb ke dariya mein utarna tha hamein bhi

yaron ki nazar hi mein na the pankh hamare
KHud apni uDanon ko katarna tha hamein bhi

wo shahad mein Duba hua lahja wo taKHatub
iKHlas ke wo rang ki Darna tha hamein bhi

yaad aae jo qadron ke mahakte hue gulban
chandi ke hisaron se ubharna tha hamein bhi

sone ke hanDole mein wo KHush-posh magan tha
mausam bhi suhana tha sanwarna tha hamein bhi

har phul pe us shaKHs ko patthar the chalane
ashkon se har ek barg ko bharna tha hamein bhi

us ko tha bahut naz KHadd-o-KHal pe 'amabar'
ek roz tah-e-KHak bikharna tha hamein bhi