jalta raha wo umr-bhar apni hi aag mein
tere labon ki aanch na thi jis ke bhag mein
chhoTi si baat thi magar ek rog ban gai
rahat milap hi mein rahi hai na tyag mein
kaise kahun use ye dulhan hai bahaar ki
phulon ka KHun mahakta hai jis ke suhag mein
wo husn ban ke gul ki tapish mein sama gaya
hans hans ke jal gaya jo tere gham ki aag mein
kahne ko mera saz hai lekin kise KHabar
kis kis ki dhun samai hai ek ek rag mein
ek dagh ban ke dil mein sulagta hai ai 'salam'
wo phul jis ka lams nahin apne bhag mein
Ghazal
Jalta raha wo umr-bhar apni hi aag mein
Ain Salam