jalta nahin aur jal raha hun
kis aag mein main pighal raha hun
mafluj hain hath panw mere
phir zehn mein kyun ye chal raha hun
ek bund nahin lahu ki baqi
kis baat par main machal raha hun
tum jhuT ye kah rahe ho mujh se
main bhi kabhi be-badal raha hun
kyun mujh se hue gunah sarzad
kahne ko to be-amal raha hun
rai ka bana ke ek parbat
ab us pe yunhi phisal raha hun
kis hath se hath main milaun
ab apne hi hath mal raha hun
kyun aaina bar bar dekhun
main aaj nahin jo kal raha hun
ab kaun sa dar raha hai baqi
is dar se main kyun nikal raha hun
qadmon ke tale to kuchh nahin hai
kis chiz ko main kuchal raha hun
ab koi nahin raha sahaara
main aaj phir se sambhal raha hun
main kyun karun aasman ki KHwahish
ab tak to zamin pe chal raha hun
ye barf haTao mere sar se
main aaj kuchh aur jal raha hun
mujh ko na pilao koi pani
pyason ke main sath chal raha hun
khane ki nahin rahi talab kuchh
ab bhuk ke bal pe pal raha hun
Ghazal
Jalta nahin aur jal raha hun
Khalilur Rahman Azmi