jalson mein guzarne lagi phir raat tumhaari
is bhiD mein jati na rahe baat tumhaari
hai jalwa-gar-e-dair-o-haram zat tumhaari
Thahri hai do amla mein mulaqat tumhaari
jalwa sifat-e-shama hai gardan se kamar tak
kis nur ke sanche mein Dhali gat tumhaari
khole hue gesu na dikhae mujhe surat
mehman mere ghar na hue raat tumhaari
pacchisi bahut khelti ho ghair se ai jaan
kauDi ki na ho jae kahin baat tumhaari
aankhon mein nahin silsial-e-ashk shab-o-roz
tasbih paDha karte hain din raat tumhaari
kaTwa ke mere dast-e-tamanna ko wo bole
do hath ghaTi aaj mulaqat tumhaari
farmate hain hans hans ke mujhe dekh ke giryan
le Dubegi aaKHir tumhein barsat tumhaari
masti jo laga kar mujhe baaton mein uDao
uD jae dhuan ban ke ye zulmat tumhaari
pamalon ki aankhon mein subuk mujh ko na karna
Darta hun ki halki na paDe baat tumhaari
kahte hain taghaful se mujhe zahr khila kar
in rozon bahut talKH hai auqat tumhaari
jo kuchh kaho bar-aks koi kah nahin sakta
kya tab hai ulTe jo koi baat tumhaari
kahta hun ki bosa bhi mila jaan bhi pai
wada na karo KHair inayat tumhaari
aankhon mein bhi sine mein bhi dil mein bhi tumhin ho
kis parde mein poshida nahin zat tumhaari
huron mein hua karti hain taqrir ki naqlen
Dar hai na bigaD jae kahin baat tumhaari
pahna ke kafan KHak ke parde mein chhupaya
duhre diye KHilat ye inayat tumhaari
honTon se jo phir jati hai munh ki taraf ai jaan
kya nashshe mein bahki hui hai baat tumhaari
ki qata abas zulf na tha koi giraftar
tanha rahe be-lutf kaTi raat tumhaari
bad-go ho ye afsana rahe ahl-e-jahan mein
qissa ho bigaD jae agar baat tumhaari
zaKHm ek kaTari ka inayat nahin hota
kauDi koi milti nahin KHairaat tumhaari
uljha hai magar zulf mein taqrir ka lachchha
suljhi hui hum ne na suni baat tumhaari
allah re safa munh nazar aata hai badan mein
aaina hai ai jaan karamat tumhaari
farmaishon ka bojh raqibon se na uTTha
sad shukr ki halki na hui baat tumhaari
shirin se na ho dil kahin farhad ka khaTTa
Darta hun ki shirin hai bahut baat tumhaari
kya sher mazedar 'munir' aaj paDhe hain
har baat mein eajaz hai kya baat tumhaari
Ghazal
Jalson mein guzarne lagi phir raat tumhaari
Muneer Shikohabadi