jalne ka hunar sirf fatile ke liye tha
roghan to charaghon mein wasile ke liye tha
sandal ka wo gahwara jo nilam hua hai
ek raj gharane ke haTile ke liye tha
ayyash tabiat ka hai aaina ek ek inT
ye rang-mahal ek rangile ke liye tha
kal tak jo hara peD tha kyun sukh gaya hai
jab dhup ka mausam kisi gile ke liye tha
masjid ka khanDar tha na wo mandir hi ka malba
jo ganw mein jhagDa tha wo Tile ke liye tha
kanTon ka tasarruf use ab kis ne diya hai
ye phul to gulshan mein rasile ke liye tha
ab rahta hai jis mein baDe sarkar ka kumba
dalan to ghoDe ke tabele ke liye tha
shohrat ki bulandi pe mujhe bhul gaya hai
kya nam mera 'ramz' wasile ke liye tha

Ghazal
Jalne ka hunar sirf fatile ke liye tha
Ramz Azimabadi