اردو हिंदी
Jali hain dard ki shaMein magar andhera hai | Shaahi Shayari
jali hain dard ki shaMein magar andhera hai

Ghazal

Jali hain dard ki shaMein magar andhera hai

Farooq Bakshi

;

jali hain dard ki shamen magar andhera hai
kahan ho kuchh to kaho dil bahut akela hai

ye kaisa zahr fazaon mein bhar gaya yaro
har ek aadmi kyun is qadar akela hai

mere nasib mein kab hai ye raushni ka nagar
mare liye to yahan har taraf andhera hai

jalae rakhna diye pyar ke main aaunga
mujhe tumhaari wafa par baDa bharosa hai

chamak uThe meri palkon pe yaad ke jugnu
ye kis ne pyar se phir aaj mujh ko dekha hai

kahan kahan main use DhunDhta raha 'faruq'
jo meri ruh ki gahraiyon mein rahta hai