jale charagh bhala kaise ta-sahar koi
hawa ke pas nahin dusra hunar koi
ubharti Dubti guzre hue visal ki naw
badan ke bahr mein paDta hua bhanwar koi
ye dil-jazira kisi dhund ke ghilaf mein hai
so ab jahaz nahin aaega idhar koi
udas chand ne dariya ke dar pe dastak di
KHush-amdid ko baDhne laga bhanwar koi
kisi sawal ka chehra kisi KHayal ka phul
nawah-e-jaan mein kahan harf-e-mo'tabar koi
Ghazal
Jale charagh bhala kaise ta-sahar koi
Asad Badayuni