jald husn-o-jamal jata hai
nahin rahta ye haal jata hai
jab talak dekhta nahin us ko
dil mein kya kya KHayal jata hai
kaun se waqt arz-e-haal karun
wo to har waqt Tal jata hai
jis ka hota hai gham se dil bhaari
wo tere dar pe Dal jata hai
sarson aankhon mein kyun na phule ab
zard oDhe do-shaal jata hai
saf samjha nahin mujhe aashiq
baat kahte sambhaal jata hai
jaan deta hun jald dekhun to
nama-bar kaisi chaal jata hai
nukta-chinon ne kuchh kaha to kya
koi is mein kamal jata hai
kuchh rihai nazar nahin aati
yun hi ab ka bhi sal jata hai
aah misl-e-shab-e-jawani jald
kya ye roz-e-visal jata hai
dilbari wo sanam kare meri
kuchh bhala ehtimal jata hai
yun KHuda ki KHudai hai mamur
par kab apna KHayal jata hai
tu to KHush ho 'hasan' ke jaane se
tera ranj-o-malal jata hai
Ghazal
Jald husn-o-jamal jata hai
Meer Hasan