jalan dil ki likkhen jo hum dil-jale
zaban-e-qalam mein paDen aable
rah-e-sab-e-ulfat mein ghabra na dil
bahut aise pesh aaenge marhale
na din wo tumhaare na apna wo sin
tumhaare hamare wo din sin Dhale
adam ki bhi kya rah hai be-nazir
chale jate hain pesh-o-pas qafile
wo ab nimcha kar chuke hain alam
ajal aa chuki sar pe kyun-kar Tale
Thahar ja koi dam ke mehman hain
KHabar le hamari chale hum chale
lakiren bhi miT miT gain hath ki
zi-bas hum ne dast-e-tassuf male
rahe dil ke arman sab dil mein haif
nikalne na pae mare hausle
baDa ho buDhape ka sab kho diya
na meri jawani na wo walwale
gaDa koi le kar dil-e-muztarib
mazaron mein aane lage zalzale
siyah-kariyon mein kaTi umr sab
qalam ki tarah sar ke bal go chale
mohabbat buton ki ye dil chhoD de
kisi tarah chhati se patthar Tale
shikayat ka mauqa na tha wasl mein
ki thi rah thoDi bahut the gile
koi dam mein hai naqsh-e-hasti fana
kidhar dhyan hai tera o bawle
kinar-e-lahad mein paDe hain wo aaj
jo aaghosh-e-madar mein the kal pale
gala tegh-e-qatil se ragDa kiya
na jhachka zara wah re manchale
na laya koi sham-o-gul gor par
lahad mein bhi dagh-e-mohabbat jale
chale bagh-e-hasti se hum na-murad
kisi rut mein ai gul na phule-phale
azal se hain ushshaq mazbuh-e-husn
jo manind-e-mahi kaTe hain gale
jo fariyaadi tere bhi aa nikle wan
zamin hogi mahshar ki upar-tale
jo abru ke honge ishaare yunhi
meri jaan lakhon kaTenge gale
kiye jae kawish palak yar ki
abhi dil ke phuTe nahin aable
sira mein na ghafil ho bandho kamar
chalo sath walo chalo hum chale
rahe mera jism-e-misali sahi
bala se ye putla saDe ya gale
ye sab sar-zamin fitna-angez hai
hazaron hi uThte hain yan ghalghale
nazar bhar ke phir dekh lun shakl-e-yar
jo aai hui meri dam bhar Tale
hamesha raha dagh dagh apna jism
sada misl-e-sarw-e-charaghan jale
falak ko milana tha gar KHak mein
to phir naz-o-neamat se kyun hum pale
rahe bar-war shaKH-e-naKHl-e-murad
ilahi hamesha to phule-phale
zamane pe afsurdagi chha gai
na hain ab wo charche na wo mashghale
musafir hun dilwaunga nazr-e-KHizr
jo tai honge raste ke sab marhale
lahu shab se aata hai ashkon ke sath
kaleje ke nasur shayad chhile
basar ho gai is tamanna mein umr
koi dost yak-rang mujh ko mile
ye kya rog ab ho gaya 'rind' ko
kai sal udhar tak the change bhale
Ghazal
Jalan dil ki likkhen jo hum dil-jale
Rind Lakhnavi