jala hun dhup mein ek shahr-e-rang-o-bu ke liye
mili hai tishna-labi sair-e-ab-e-ju ke liye
tere badan ki mahak ajnabi sahi lekin
mere qarib se guzri hai guftugu ke liye
junun ka pas wafa ka KHayal husn ka gham
kai charagh jale ek aarzu ke liye
na aansuon ke sitare na qahqahon ke gulab
koi to jashn karo apne mah-ru ke liye
nae sawal nae tajarbe nae chehre
hazar moD hain ek meri justuju ke liye
Ghazal
Jala hun dhup mein ek shahr-e-rang-o-bu ke liye
Jazib Quraishi