jala diya shajar-e-jaan ki sabz-baKHt na tha
kisi bhi rut mein hara ho ye wo daraKHt na tha
wo KHwab dekha tha shahzadiyon ne pichhle pahar
phir us ke baad muqaddar mein taj o taKHt na tha
zara se jabr se main bhi to TuT sakti thi
meri tarah se tabiat ka wo bhi saKHt na tha
mere liye to wo KHanjar bhi phul ban ke uTha
zaban saKHt thi lahja kabhi karaKHt na tha
andheri raaton ke tanha musafiron ke liye
diya jalata hua koi saz-o-raKHt na tha
gae wo din ki mujhi tak tha mera dukh mahdud
KHabar ke jaisa ye afsana laKHt-laKHt na tha
Ghazal
Jala diya shajar-e-jaan ki sabz-baKHt na tha
Parveen Shakir