اردو हिंदी
Jal raha hun to ajab rang o saman hai mera | Shaahi Shayari
jal raha hun to ajab rang o saman hai mera

Ghazal

Jal raha hun to ajab rang o saman hai mera

Aslam Mahmood

;

jal raha hun to ajab rang o saman hai mera
aasman jis ko samajhte ho dhuan hai mera

le gai bandh ke wahshat use sahra ki taraf
ek dil hi to tha ab wo bhi kahan hai mera

dekh le tu bhi ki ye aaKHiri manzar hai mera
jis ko kahte hain shafaq rang-e-ziyan hai mera

apna hi zor-e-tanaffus na miTa de mujh ko
in dinon zad pe meri KHema-e-jaan hai mera

zarra-e-KHak bhi hota hai kabhi bar-e-giran
kabhi lagta hai ki ye sara jahan hai mera

ab ufuq-ta-ba-ufuq mein hun har aaine mein
jaise har samt o jihat aks-e-rawan hai mera

ruk gaya aa ke jahan qafila-e-rang-o-nashat
kuchh qadam aage zara baDh ke makan hai mera