اردو हिंदी
Jal kar un aankhon mein aansu jab kajal ban jate hain | Shaahi Shayari
jal kar un aankhon mein aansu jab kajal ban jate hain

Ghazal

Jal kar un aankhon mein aansu jab kajal ban jate hain

Saeeduzzamaan Abbasi

;

jal kar un aankhon mein aansu jab kajal ban jate hain
dil se uTh kar reg bagule dal baadal ban jate hain

koi sachchi baat zaban par jab bhi kabhi aa jati hai
wo sahra ho ya gulshan ho sab maqtal ban jate hain

jab bhi zehn mein jag uThti hai in honTon ki shirini
kaise kaise talKH masail jaan ghazal ban jate hain

us se ziyaada kya hoga arbab-e-mohabbat ka izhaar
wo bekal ho jate hain to sab bekal ban jate hain

hum ne sadiyon ki diwaron mein jo raKHne Dale the
un se guzarne wale lamhe taj-mahal ban jate hain