jal kar jis ne jal ko dekha 
tum ne us pagal ko dekha 
KHwab diye aur aaine mein 
aane wale kal ko dekha 
waqt ke sab se unche pul se 
aate jate pal ko dekha 
KHwahish ke changul se aage 
hairat ke jangal ko dekha 
sahra mein ek kursi dekhi 
kursi par sachchal ko dekha 
dekhin tishna-lab ki aankhen 
aankhon ke jal-thal ko dekha 
baadal jab dariya par barsa 
dariya ne baadal ko dekha 
mausam ne jab karwaT badli 
chadar ne kambal ko dekha 
aankhon ki gahrai jaani 
peshani ke bal ko dekha 
daldal ke sabze se guzre 
sabze ke daldal ko dekha 
mazi ke har peD pe hum ne 
mustaqbil ke phal ko dekha 
likhne walo hath uTha lo 
kis kis ne maqtal ko dekha 
tum ne ziddi dekhe honge 
dil jaise aDiyal ko dekha 
mushkil kitni mushkil mein thi 
mushkil ne jab hal ko dekha 
khurach khurach kar shak ne khaddar 
mal mal kar malmal ko dekha 
dariya pir-abaad mein kis ne 
shaalu aur shal shal ko dekha 
qainchi jab Dam Dam par jhapTi 
kikar ne pipal ko dekha 
baalTi gailan tasle dekhe 
aur phir main ne nal ko dekha 
dariya ki lahren gin gin ke 
pani ki botal ko dekha 
hairam dew ne sona kha kar 
chandi aur pital ko dekha 
dekha kya kya dekh raha hai 
ghaur se jab goggle ko dekha 
channel par KHabren to dekhin 
KHabron ke channel ko dekha
        Ghazal
Jal kar jis ne jal ko dekha
Imran Shamshad

