اردو हिंदी
Jal bujha hun main magar sara jahan tak mein hai | Shaahi Shayari
jal bujha hun main magar sara jahan tak mein hai

Ghazal

Jal bujha hun main magar sara jahan tak mein hai

Alam Khursheed

;

jal bujha hun main magar sara jahan tak mein hai
koi tasir to maujud meri KHak mein hai

khenchti rahti hai har lamha mujhe apni taraf
jaane kya chiz hai jo parda-e-aflak mein hai

koi surat bhi nahin milti kisi surat mein
kuza-gar kaisa karishma tere is chaak mein hai

kaise Thahrun ki kisi shahr se milta hi nahin
ek naqsha jo mere dida-e-namnak mein hai

ye ilaqa bhi magar dil hi ke tabe Thahra
hum samajhte the aman gosha-e-idrak mein hai

qatl hote hain yahan nara-e-elan ke sath
waza-dari to abhi aalam-e-saffak mein hai

kitni chizon ke bhala nam tujhe ginwaun
sari duniya hi to shamil meri imlak mein hai

raegan koi bhi shai hoti nahin hai 'alam'
ghaur se dekhiye kya kya KHas-o-KHashak mein hai