jal bhi milan ke kashT ka thal bhi amin tha
ye bhi kabhi teri meri chahat ka scene tha
socha to dur the kai farsang us ke ang
dekha to samne wo sitara-jabin tha
ek arsh tha jhuka hua girne ko su-e-farsh
ek jism-e-sad-shigaf sar-e-sath-e-zin tha
faThon se ham-kanar bayaban mein be-mazar
tu mani-e-mubin tu tashrih-e-din tha
din-sin the sajna ki girah mein bandhe hue
pahlu mein priTma ke ye jiwan rahin tha
jab ruh thi barahna to phir jism par libas
zahir tha main to kis liye parda nashin tha
khincha to mauj-e-mil use bhincha to barg-e-gul
wo kanch se matin kiran se mahin tha
niche gagan ke nil-kanwal khetiyon mein hal
parbat piya ke bal mera sina zamin tha
sadqon bhare sabaat the rassi mein chand hath
neze pe ek sar ki sarapa yaqin tha
Ghazal
Jal bhi milan ke kashT ka thal bhi amin tha
Nasir Shahzad