اردو हिंदी
Jaisi ab hai aisi haalat mein nahin rah sakta | Shaahi Shayari
jaisi ab hai aisi haalat mein nahin rah sakta

Ghazal

Jaisi ab hai aisi haalat mein nahin rah sakta

Zafar Iqbal

;

jaisi ab hai aisi haalat mein nahin rah sakta
main hamesha to mohabbat mein nahin rah sakta

khul ke ro bhi sakun aur hans bhi sakun ji bhar ke
abhi itni bhi faraghat mein nahin rah sakta

dil se bahar nikal aana meri majburi hai
main to is shor-e-qayamat mein nahin rah sakta

kuch kar jaen jahan se mere dushman ai dost
main wahan bhi kisi surat mein nahin rah sakta

koi KHatra hai mujhe aur tarah ka ai dost
main jo ab teri hifazat mein nahin rah sakta

chahiye hai mujhe kuchh aur hi mahaul ki main
aur ab apni rifaqat mein nahin rah sakta

kuchh bhi main karta-karaata to nahin hun lekin
bawajud is ke faraghat mein nahin rah sakta

shak mujhe yun to KHayanat ka nahin hai koi
main kisi ki bhi amanat mein nahin rah sakta

waise rahne ko to KHush-bash hi rahta hun 'zafar'
sach jo puchhen to haqiqat mein nahin rah sakta