jaise main dekhta hun log nahin dekhte hain
zulm hota hai kahin aur kahin dekhte hain
tir aaya tha jidhar ye mere shahr ke log
kitne sada hain ki marham bhi wahin dekhte hain
kya hua waqt ka dawa ki har ek agle baras
hum use aur hasin aur hasin dekhte hain
us gali mein hamein yun hi to nahin dil ki talash
jis jagah khoe koi chiz wahin dekhte hain
shayad is bar mile koi bashaarat 'amjad'
aaiye phir se muqaddar ki jabin dekhte hain
Ghazal
Jaise main dekhta hun log nahin dekhte hain
Amjad Islam Amjad