jaise koi rota hai gale pyar se lag kar
kal raat main roya teri diwar se lag kar
har ek ke chehre pe hai tashwish numayan
baiThe hain masiha tere bimar se lag kar
phulon ki mohabbat ne sabaq mujh ko sikhaya
zaKHmi jo hue hath mere KHar se lag kar
ghammazi-e-KHushbu pe khula raaz chaman mein
guzri hai saba gesu-e-dildar se lag kar
jab jab dil-e-wahshi ko tere gham ne sataya
hum baiTh gae zanu-e-ghamKHwar se lag kar
samjha use phulon ki nawazish dil-e-sada
jo zaKHm laga nok-e-sar-e-KHar se lag kar
'ejaz' koi shauq nahin sair-e-jahan ka
aaram se baiThe hain dar-e-yar se lag kar
Ghazal
Jaise koi rota hai gale pyar se lag kar
Aziz Ejaz