اردو हिंदी
Jaise koi daera takmil par hai | Shaahi Shayari
jaise koi daera takmil par hai

Ghazal

Jaise koi daera takmil par hai

Abdul Ahad Saaz

;

jaise koi daera takmil par hai
in dinon mujh par guzishta ka asar hai

zindagi ki band sipi khul rahi hai
aur us mein ahd-e-tifli ka guhar hai

dil hai raaz-o-ramz ki duniya mein shadan
aql ko har aan tashwish-e-KHabar hai

ek tawaqquf-zar mein gum hai tasalsul
lamha-e-maujud goya umr bhar hai

zehan mein rauzan anokhe khul rahe hain
jin se an-sochi hawaon ka guzar hai

fasle taqsim hi hote nahin jab
'saz' phir kya sust-rau kya tez-tar hai