jaise kisi ko KHwab mein main DhunDhta raha
daldal mein dhans gaya tha magar bhagta raha
bechain raat karwaTen leti thin bar bar
lagta hai mere sath KHuda jagta raha
apni azan to koi muazzin na sun saka
kanon pe hath rakhe hue bolta raha
saat dua ki aai to hasab-e-nasib main
KHali hatheliyon ko abas ghurta raha
us ki nazar ke sang se main aaina-misal
TuTa to TuT kar bhi use dekhta raha
insan kisi bhi daur mein mushrik na tha kabhi
patthar ke nam par bhi tujhe pujta raha
Ghazal
Jaise kisi ko KHwab mein main DhunDhta raha
Syed Mubarak Shah