jaise ki ek frame ho taswir ke baghair
ham-KHwab dekhte rahe tabir ke baghair
lazim nahin ki pyar mein rishta ho jism ka
KHushbu hai sath phul ke zanjir ke baghair
koshish to kar ke dekhna taqdir kuchh bhi ho
mat haar manna kabhi tadbir ke baghair
mulkon ki fikr chhoD ke qabza dilon pe kar
mil jaega jahan ye tasKHir ke baghair
haalat ka dabaw hai imdad sab qubul
lekin safed-posh hun tashhir ke baghair
waiz kare hai nekiyan lalach mein hur ki
tab hi to us ki baat hai tasir ke baghair
Ghazal
Jaise ki ek frame ho taswir ke baghair
Syed Anwar Ahmad