jaise kashti aur us par baadban phaile hue
mere sar par is tarah hain aasman phaile hue
chal rahe hain dhup se tapti hui saDkon pe log
aur sae saeban-dar-saeban phaile hue
dekhiye kab tak rahe tanha parinde ki uDan
hain samundar hi samundar be-karan phaile hue
jagti aankhon ke KHwab aur tere baalon ke gulab
mere bistar par hain ab bhi meri jaan phaile hue
saneha ye hai ki ab tak waqia koi nahin
tazkire hain dastan-dar-dastan phaile hue
main to sari umr us ki samt hi chalta raha
fasle hain phir bhi 'zulfi' darmiyan phaile hue
Ghazal
Jaise kashti aur us par baadban phaile hue
Tasleem Ilahi Zulfi