jaise jaise dard ka pindar baDhta jae hai 
e'timad-e-lazzat-e-azar baDhta jae hai 
dil umaDta aae hai miTTi hui jati hai nam 
zindagi par zindagi ka bar baDhta jae hai 
ye na puchho dekhta jata hai muD muD kar kise 
ek diwana ki su-e-dar baDhta jae hai 
kuchh na kuchh hona hai aaKHir tap ke kundan jal ke rakh 
dil ki jaanib shoala-e-afkar baDhta jae hai 
aagahi ka sadqa wajib hai uThao jam-e-zahr 
lamha lamha waqt ka israr baDhta jae hai 
saKHti-e-rah-e-talab se dil larazta hai magar 
mujh se aage jazba-e-bedar baDhta jae hai 
rafta rafta soz-e-hirman hota jata hai fuzun 
rafta rafta zindagi se pyar baDhta jae hai 
ye jahan-e-ab-o-gil hai imtihan-gah-e-shuur 
gham ba-qadr-e-azmat-e-kirdar baDhta jae hai 
kya KHabar 'hurmat' ki takmil-e-safar ho kis tarah 
iltifat-e-wadi-e-pur-KHar baDhta jae hai
        Ghazal
Jaise jaise dard ka pindar baDhta jae hai
Hurmatul Ikaram

