اردو हिंदी
Jaise jaise aalam-e-imkan badalta jaega | Shaahi Shayari
jaise jaise aalam-e-imkan badalta jaega

Ghazal

Jaise jaise aalam-e-imkan badalta jaega

Naz Layalpuri

;

jaise jaise aalam-e-imkan badalta jaega
zehn-e-insan nit-nae sanchon mein Dhalta jaega

ho sake to apni KHushiyan dard ke maron mein banT
zindagi ka karwan to yunhi chalta jaega

ain mumkin hai use duniya hawas ka nam de
dil ka jo arman bhi dil se nikalta jaega

mere is ek ashk ki qimat mere hamdam na puchh
aankh se jo tere daman tak machalta jaega

'naz' us ke ho nahin sakte marahil sadd-e-rah
jis ko manzil tak pahunchna hai wo chalta jaega