اردو हिंदी
Jaise in sajdon ka sar se rishta hai | Shaahi Shayari
jaise in sajdon ka sar se rishta hai

Ghazal

Jaise in sajdon ka sar se rishta hai

Majid Deobandi

;

jaise in sajdon ka sar se rishta hai
bilkul aisa mera ghar se rishta hai

meri aankhen kuchh soi si rahti hain
shayad in ka KHwab-nagar se rishta hai

tujh ko kaise bhul sakega dil mera
tera mera to indr se rishta hai

ai shahzadi sath hamare mat chalna
banjaron ka dhup safar se rishta hai

lauh-e-falak par likkhi hai jis ki izzat
hum logon ka us ke dar se rishta hai

jis ke sae mein hum baKHshe jaenge
hum logon ka us chadar se rishta hai

wo auron par sang uchhaale na-mumkin
'majid' ka shishe ke ghar se rishta hai