jaise hoti aai hai waise basar ho jaegi
zindagi ab muKHtasar se muKHtasar ho jaegi
gesu-e-aks-e-shab-e-furqat pareshan ab bhi hai
hum bhi to dekhen ki yun kyunkar sahar ho jaegi
intizar-e-manzil-e-mauhum ka hasil ye hai
ek din hum par inayat ki nazar ho jaegi
sochta rahta hai dil ye sahil-e-ummid par
justuju aaina-e-madd-o-jazar ho jaegi
dard ke mushtaq gustaKHi to hai lekin muaf
ab dua andesha ye hai kargar ho jaegi
sans ke aaghosh mein har sans ka naghma ye hai
ek din ummid hai un ko KHabar ho jaegi
Ghazal
Jaise hoti aai hai waise basar ho jaegi
Meeraji