jaise hon lashen dafn purane khanDar ki buniyaad tale
ehsas dabe hain kitne hi meri na-gufta rudad tale
wo zat to ek hi zat hai na har lamha jis ko DhunDhta hai
momin nur-e-iman tale kafir sang-e-ilhad tale
imroz-o-farda karte rahe tum aur yahan ahl-e-hasrat
kitne hi kuchle jate rahe bar-e-yaum-e-miad tale
kal tak nara aazadi ka jin ke honTon ki zinat tha
wo itminan se baiThe hain ab KHud dam-e-sayyaad tale
kar zulm bapa lekin tariKH ka ye sach apne zehn mein rakh
kitne hi zalim dafn hue mazlumon ki fariyaad tale
hum gharb-zada zahrili faza ki zad mein aa hi sakte nahin
hum karte hain tamir-e-tamaddun tahzib-e-ajdad tale
wo aql-garan hum ishq-garan donon mein taqabul kaisa 'nadim'
donon hi azal se rahte hain jab fehrist-e-azdad tale
Ghazal
Jaise hon lashen dafn purane khanDar ki buniyaad tale
Nadeem Sirsivi