jaise hi zina bola tah-KHane ka
kunDli mar ke baiTha sanp KHazane ka
hum bhi zaKHm-talab the apni fitrat mein
wo bhi kuchh sachcha tha apne nishane ka
rahib apni zat mein shahr aabaad karen
dair ke bahar pahra hai virane ka
baat kahi aur kah kar KHud hi kaT bhi di
ye bhi ek pairaya tha samjhane ka
subh-sawere shabnam chaTne wale phul
dekh liya KHamyaza pyas bujhane ka
banjar miTTi par bhi baras ai abr-e-karam
KHak ka har zarra maqruz hai dane ka
'talib' us ko pana to dushwar na tha
andesha tha KHud apne kho jaane ka
Ghazal
Jaise hi zina bola tah-KHane ka
Talib Johari