jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum
raat milte rahe apne dar-o-diwar se hum
sarKHushi mein yunhi dil-shad o ghazal-KHwan guzre
ku-e-qatil se kabhi kucha-e-dildar se hum
kabhi manzil kabhi raste ne hamein sath diya
har qadam uljhe rahe qafila-salar se hum
hum se be-bahra hui ab jaras-e-gul ki sada
warna waqif the har ek rang ki jhankar se hum
'faiz' jab chaha jo kuchh chaha sada mang liya
hath phaila ke dil-e-be-zar-o-dinar se hum
Ghazal
Jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum
Faiz Ahmad Faiz