jaise dariya mein guhar bolta hai
sat pardon mein hunar bolta hai
teri KHamoshi se dahshat hai ayan
teri aawaz mein Dar bolta hai
jag auron ko jagane ke liye
bol jis tarah gajar bolta hai
dil ki dhaDkan se larazta hai badan
apni wahshat mein khanDar bolta hai
ye wahi saat-e-bedari hai
jab duaon mein asar bolta hai
ho gaya rang-e-suKHan se zahir
sher mein KHun-e-jigar bolta hai
Ghazal
Jaise dariya mein guhar bolta hai
Saifuddin Saif