اردو हिंदी
Jaisa chaha waisa manzar dekha hai | Shaahi Shayari
jaisa chaha waisa manzar dekha hai

Ghazal

Jaisa chaha waisa manzar dekha hai

Rana Amir Liyaqat

;

jaisa chaha waisa manzar dekha hai
yani hum ne apne andar dekha hai

un aankhon ko dekhne wale kahte hain
is duniya ko hum ne behtar dekha hai

jaane wale tujh ko itna yaad rahe
hum ne tera hath pakaD kar dekha hai

teri kaise ban jati hai duniya se
main ne apna aap badal kar dekha hai