اردو हिंदी
Ye kaun jalwa-fagan hai meri nigahon mein | Shaahi Shayari
ye kaun jalwa-fagan hai meri nigahon mein

Ghazal

Ye kaun jalwa-fagan hai meri nigahon mein

Jahangeer nayab

;

ye kaun jalwa-fagan hai meri nigahon mein
qadam qadam pe barasta hai nur rahon mein

bharosa had se siwa tha mujhe kabhi jis par
mere KHilaf hai shamil wahi gawahon mein

supurdagi ka ye aalam bhi kya qayamat hai
simaT ke yun tera aa jaana meri bahon mein

teri panah mein rah kar bhi jo nahin mahfuz
mera shumar hai aise hi be-panahon mein

kab aasman ka phahTta hai dil ye dekhna hai
badal rahi hain meri siskiyan karahon mein

main kaise pesh karun dawa parsai ka
main ek umr mulawwis raha gunahon mein

bana hai jab se wo 'nayab' ham-safar mera
bichhe hue hain masarrat ke phul rahon mein