اردو हिंदी
Jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai | Shaahi Shayari
jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai

Ghazal

Jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai

Abdul Hamid Adam

;

jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai
wahan Dhalti hui har dopahar mahsus hoti hai

wahi shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsus hoti hai
kami jis ki barabar umr bhar mahsus hoti hai

jatan bhi kya hasin sujha hai tujh ko pyar karne ka
teri surat mujhe apni nazar mahsus hoti hai

gali kuchon mein sehn-e-mai-kada ka rang hota hai
mujhe duniya tera kaif-e-nazar mahsus hoti hai

zara aage chaloge to izafa ilm mein hoga
mohabbat pahle pahle be-zarar mahsus hoti hai

ye do patthar na jaane kab se aapas mein hain wabasta
jabin apni tumhaara sang-e-dar mahsus hoti hai

kabhi sach to nahin us aankh ne bola magar phir bhi
rawayye mein nihayat mo'atabar mahsus hoti hai

adam ab doston ki be-ruKHi ki hai ye kaifiyyat
khaTakti to nahin itni magar mahsus hoti hai