اردو हिंदी
Jahan walon se barti is qadar be-gangi maine | Shaahi Shayari
jahan walon se barti is qadar be-gangi maine

Ghazal

Jahan walon se barti is qadar be-gangi maine

Laxmi Narayan Farigh

;

jahan walon se barti is qadar be-gangi main ne
ki barham kar liya apna nizam-e-zindagi main ne

sikhae husn-e-kafir ko saliqe KHud-numai ke
sanwara pai-ba-pai apna mazaq-e-ashiqi main ne

hue raushan na phir bhi baam-o-dar fikr-o-tasawwur ke
hazaron bar ki bazm-e-jahan mein raushni main ne

dil-e-na-aqibat-andesh ki kotah-bini ki
kabhi taid ki main ne kabhi tardid ki main ne

hazaron bar tahzib-o-tamaddun ki faza badli
hazaron bar ek duniya nai aabaad ki main ne

kya ifsha na raaz-e-gham kisi par jite-ji 'farigh'
baDe sabr-o-tahammul se basar ki zindagi main ne