jahan tujh ko biTha kar pujte hain pujne wale
wo mandir aur hote hain shiwale aur hote hain
dahan-e-zaKHm se kahte hain jin ko marhaba bismil
wo KHanjar aur hote hain wo bhaale aur hote hain
jinhen mahrumi-e-tasir hi asl-e-tamanna hai
wo aahen aur hoti hain wo nale aur hote hain
jinhen hasil hai tera qurb KHush-qismat sahi lekin
teri hasrat liye mar jaane wale aur hote hain
jo Thokar hi nahin khate wo sab kuchh hain magar waiz
wo jin ko dast-e-rahmat KHud sambhaale aur hote hain
talash-e-shama se paida hai soz-e-na-tamam 'aKHtar'
KHud apni aag mein jal jaane wale aur hote hain
Ghazal
Jahan tujhko biTha kar pujte hain pujne wale
Hari Chand Akhtar