اردو हिंदी
Jahan tegh-e-himmat alam dekhte hain | Shaahi Shayari
jahan tegh-e-himmat alam dekhte hain

Ghazal

Jahan tegh-e-himmat alam dekhte hain

Ismail Merathi

;

jahan tegh-e-himmat alam dekhte hain
mahaalat ka sar qalam dekhte hain

jo baiThe the yan pa-ba-daman-e-hasti
unhen sar-ba-jeb-e-adam dekhte hain

kamalat-e-sanea pe jin ki nazar hai
wo KHubi-e-masnua kam dekhte hain

nahin mubtala jo tan-asaniyon mein
unhen dam-ba-dam taza-dam dekhte hain

nahin jin ko jah-o-hasham ka takabbur
wahi lutf-e-jah-o-hasham dekhte hain

shikam-parwari jin ka shewa hai un ko
asir-e-jafa-e-shikam dekhte hain

bas ai rang-o-bu tu na kar naz be-ja
KHuda jaane kya baat hum dekhte hain

uDate hain jo raKHsh-e-himmat ko sarpaT
wo manzil ko zer-e-qadam dekhte hain