jahan tak yaad-e-yar aati rahegi
fasane gham ke dohraati rahegi
lahu dil ka na hoga KHatm jab tak
mohabbat zindagi pati rahegi
bhulaega zamana mujh ko jitna
meri har baat yaad aati rahegi
bajata chal diwane saz dil ka
tamanna har qadam gati rahegi
sanwarega tu jitna zulf-e-hasti
ye nagin itna bal khati rahegi
jahan mein maut se bhagoge jitna
ye utna banhen phailati rahegi
tamannaen meri puri na karna
meri diwangi jati rahegi
ye duniya jab talak qaem hai 'naushad'
hamare git dohraati rahegi
Ghazal
Jahan tak yaad-e-yar aati rahegi
Naushad Ali