اردو हिंदी
Jahan tak ishq ki taufiq hai rangin banate hain | Shaahi Shayari
jahan tak ishq ki taufiq hai rangin banate hain

Ghazal

Jahan tak ishq ki taufiq hai rangin banate hain

Dil Shahjahanpuri

;

jahan tak ishq ki taufiq hai rangin banate hain
wo sunte hain hum un ko sar-guzasht-e-dil sunate hain

udhar haq-ul-yaqin hai ab wo aate ab wo aate hain
udhar anjum meri is zehniyat par muskuraate hain

shab-e-gham aur mahjuri ye aalam aur majburi
Tapak paDte hain aansu jab wo hum ko yaad aate hain

wahin se dars-e-husn-o-ishq ka aaghaz hota hai
jahan se waqiat-e-zindagi hum bhul jate hain

hamein kuchh ishq ke mafhum par hai tabsira karna
ek aah-e-sard ko unwan-e-sharah-e-gham banate hain

baha kar ashk-e-KHun khinchi thin jo aaina-e-dil mein
hum un mauhum taswiron ko ab rangin banate hain

shabab-e-zindagi jalwon ka ek masum nazzara
hamein ai dil wo afsane abhi tak yaad aate hain