jahan se dosh-e-azizan pe bar ho ke chale
ye su-e-mulk-e-adam sharmsar ho ke chale
hamare dekhne ko KHush abhi se hain aada
zara na dekh sake ashk-bar ho ke chale
pahunch hi jaoge mai-KHane mein KHizar tum bhi
hamare sath jo yaron ke yar ho ke chale
tumhaari rah ka raha hum ko har taraf dhoka
chale jidhar ko so be-iKHtiyar ho ke chale
sana-nigar ye hai kis ke KHalq ka 'arif'
qalam waraq pe na kyun ashk-bar ho ke chale
Ghazal
Jahan se dosh-e-azizan pe bar ho ke chale
Zain-ul-Abideen Khan Arif