jahan se aae the shayad wahin chale gae hain
wo sahiban-e-bashaarat kahin chale gae hain
zamin pe rengte rahne ko hum jo hain maujud
jo ahl-e-sharm the zer-e-zamin chale gae hain
bahisht hai ki nahin hai ye tu hi jaanta hai
tere faqir ba-nam-e-yaqin chale gae hain
dikhai denge kabhi waqt ke jharokon se
wo log ab bhi yahin hain hamin chale gae hain
wahi hua hai jo hota hai sone walon se
ai mere dil tere pahlu-nashin chale gae hain
hamari aankh 'shanawar' hui hai kya namnak
suKHan-saraon se zehra-jabin chale gae hain
Ghazal
Jahan se aae the shayad wahin chale gae hain
Shanawar Ishaq