jahan sarab nahin thi wahan sarab mile
haqiqaton ko TaTola gaya to KHwab mile
har ek samt se aawaz-e-bazgasht aai
is aarzu mein pukara tha kuchh jawab mile
hamein bahaar ke aasar ki tawaqqoa thi
ruKH chaman pe nishanat-e-inqalab mile
kahaniyon ki kitabon mein ab milen to milen
wo KHush-nazar jinhen zarron mein aaftab mile

Ghazal
Jahan sarab nahin thi wahan sarab mile
Saeeduzzamaan Abbasi