اردو हिंदी
Jahan sare hawa banne ki koshish kar rahe the | Shaahi Shayari
jahan sare hawa banne ki koshish kar rahe the

Ghazal

Jahan sare hawa banne ki koshish kar rahe the

Abbas Qamar

;

jahan sare hawa banne ki koshish kar rahe the
wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe the

hamein zor-e-tasawwur bhi ganwana paD gaya hum
tasawwur mein KHuda banne ki koshish kar rahe the

zamin par aa gire jab aasman se KHwab mere
zamin ne puchha kya banne ki koshish kar rahe the

unhen aankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai
ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the

hamein dushwariyon mein muskurane ki talab thi
hum ek taswir sa banne ki koshish kar rahe the