jahan raqs karte ujale mile
wahin dil ke TuTe shiwale mile
na puchho bahaaron ke rahm-o-karam
ki phulon ke hathon mein chhaale mile
meri tira-baKHti aur un ki hansi
siyahi mein kirnon ke bhaale mile
na kuchh motiyon ki kami thi magar
bhanwar se hamein sirf haale mile
main wo raushni ka nagar hun jahan
charaghon ke chehre bhi kale mile
dimaghon se un ko miTaoge kya
kitabon se jin ke hawale mile
hamari wafaen ThiThurti rahen
tumhein rahmaton ke doshaale mile
thi 'rahi' ki manzil bhi sab se alag
use ham-safar bhi nirale mile
Ghazal
Jahan raqs karte ujale mile
Sohan Rahi