اردو हिंदी
Jahan rang-o-bu hai aur main hun | Shaahi Shayari
jahan rang-o-bu hai aur main hun

Ghazal

Jahan rang-o-bu hai aur main hun

Chandar Bhan Kaifi Delhwi

;

jahan rang-o-bu hai aur main hun
bahaar-e-arzu hai aur main hun

sukun ka kaam kya is mai-kade mein
azal se ha-o-hu hai aur main hun

ilahi shara mein rakkha hi kya hai
namaz-e-be-wazu hai aur main hun

jo tum aae to aai jaan mein jaan
muqaddar ru-ba-ru hai aur main hun

meri ruswaiyan hain aur tum ho
tumhaari guftugu hai aur main hun

tere didar ki juya hain aankhen
talash-e-chaar-su hai aur main hun

ajab shai KHud-faramoshi hai 'kaifi'
surahi hai subu hai aur main hun