jahan pe teri kami bhi na ho sake mahsus
talash hi rahi aankhon ko aise manzar ki
hamein to KHud nahin malum kya kisi se kahen
ki tujh se milne ki koshish na kyun bichhaD kar ki
magar ye zauq-e-parastish ki ab bhi tishna hai
jabin ko chum chuke ek ek patthar ki
kahan pe dafn wo parchhaiyan karen yaro
jo tab la na sakin raushni ke KHanjar ki
har ek gul ko hai ishq-e-sumum ka sauda
har ek shaKH yahan mo'taqid hai sarsar ki
jidhar andhera hai tanhai hai udasi hai
safar ki hum ne wahi samt kyun muqarrar ki
Ghazal
Jahan pe teri kami bhi na ho sake mahsus
Shahryar